Friday, June 29, 2012

My Poems




(I)
Kis baat pe hai aaj  itna tu pareshan aye mere dil
Ik tu hi akela nahi is dard main shamil
Daal zara aaj nigaahen unpar tu
Jo do din ke bhooko ke qataro main hain shamil

Sabki kismet main nahi maa ke us aanchal ki ghani chaon
Parayo ki hi maaon main jo dhoonde wahi daman
Karta hai jo thakhar bhi teri gend ki chinta
Har shaqs ke uppar wo paseena na pita ka

Karta hun aaj shukr main us Shakti ka mere malik
Jo bakshi hai tune meri  har saans main rag main
Jab tak bhi jeeyun kaam karunga main is tarah
Tu fakhr karega aur jeeyega har ek mann main








(II)
Mere hisse main kya  jeet hai
Ye tu hi ab bata
Raaton ke siwa din main bhi dikhayi de andhera

Har din guzarta hai teri hi yaad main ab to
Din na dhale jab tak na sochu teri nazar ko
Aaya hun aaj tere hi dar pe mere sanam
Tu kar ke aaj khatam udasi ka silsila

Ya leke mujhe bahhon main hata de tu dooriyan
Ya de de meri sason ko  tu chain ki dawa
Na ho tere bina mera ek din bhi ab shuru
Tere siwa ab sirf mujhe muat se gila







(III)
Kaise chupaun raaz wo seene main jo dabe
Keh na sakun mein apni udasi ke falsafe
Deta gawahi jo teri adalat main hai khuda
Kaise karega aaj us zalim ka faisla

Na taqht hai na taj hai dil main mere malik
Bus nyay ki darkhast har pal mere malik
Na chod de kahin us ko bhala jaan ke tu aaj
Har pal kiya hai jisne tere naam ko barbaad

Tu hai khuda na tujhse koi raaz hai chipa
Kyun darr raha phir aaj tu karne se faisla
Kaise jeeyega aaj wo insaan tu bata
Teri khudayi main jisse bus gam hi hai mila







(IV)
Tu rab hai mera tu hi meri jaan maan le
Koshish  jo karu pyaar ki tu yaar jaan le
Na roothe kabhi mujh se mera pyaar aye khuda
Chahe wo maange dil ya meri jaan maang le

Ho usko na kabhi kami  ye jahan maang le
Aye yaar chahe tu meri har saans maang le
Tere siwa na jeena hai ek pal bhi ab mujhe
Hai jism tera mann bhi tera rooh maan le

Ye zindagi kategi karke tere hi sadke
Jeena mera tere bina na manjoor hai mujhe
Aaye khuda bhi ab to zameen par jo tu kahe
Kudrat  bhi ab tere bina na manjoor hai usse








No comments:

Post a Comment