(I)
Kis
baat pe hai aaj itna tu pareshan aye mere
dil
Ik
tu hi akela nahi is dard main shamil
Daal
zara aaj nigaahen unpar tu
Jo
do din ke bhooko ke qataro main hain shamil
Sabki
kismet main nahi maa ke us aanchal ki ghani chaon
Parayo
ki hi maaon main jo dhoonde wahi daman
Karta
hai jo thakhar bhi teri gend ki chinta
Har shaqs
ke uppar wo paseena na pita ka
Karta
hun aaj shukr main us Shakti ka mere malik
Jo
bakshi hai tune meri har saans main rag
main
Jab
tak bhi jeeyun kaam karunga main is tarah
Tu fakhr
karega aur jeeyega har ek mann main
(II)
Mere
hisse main kya jeet hai
Ye
tu hi ab bata
Raaton
ke siwa din main bhi dikhayi de andhera
Har
din guzarta hai teri hi yaad main ab to
Din
na dhale jab tak na sochu teri nazar ko
Aaya
hun aaj tere hi dar pe mere sanam
Tu
kar ke aaj khatam udasi ka silsila
Ya
leke mujhe bahhon main hata de tu dooriyan
Ya
de de meri sason ko tu chain ki dawa
Na
ho tere bina mera ek din bhi ab shuru
Tere
siwa ab sirf mujhe muat se gila
(III)
Kaise
chupaun raaz wo seene main jo dabe
Keh
na sakun mein apni udasi ke falsafe
Deta
gawahi jo teri adalat main hai khuda
Kaise
karega aaj us zalim ka faisla
Na
taqht hai na taj hai dil main mere malik
Bus
nyay ki darkhast har pal mere malik
Na
chod de kahin us ko bhala jaan ke tu aaj
Har
pal kiya hai jisne tere naam ko barbaad
Tu
hai khuda na tujhse koi raaz hai chipa
Kyun
darr raha phir aaj tu karne se faisla
Kaise
jeeyega aaj wo insaan tu bata
Teri
khudayi main jisse bus gam hi hai mila
(IV)
Tu
rab hai mera tu hi meri jaan maan le
Koshish jo karu pyaar ki tu yaar jaan le
Na
roothe kabhi mujh se mera pyaar aye khuda
Chahe
wo maange dil ya meri jaan maang le
Ho
usko na kabhi kami ye jahan maang le
Aye
yaar chahe tu meri har saans maang le
Tere
siwa na jeena hai ek pal bhi ab mujhe
Hai
jism tera mann bhi tera rooh maan le
Ye
zindagi kategi karke tere hi sadke
Jeena
mera tere bina na manjoor hai mujhe
Aaye
khuda bhi ab to zameen par jo tu kahe
Kudrat bhi ab tere bina na manjoor hai usse